Monday, 7 November 2011

adjust kar


“Adjust kar ”
“Adjust kar” bhai “Adjust kar”.
Teen ke jagah char bitha ke adjust kar

Sarkar badha rahe hai bhav
Public ka bhade hai taav
Rickshaw chodke tu pedel hai jaaye
Itne paise tu kyun bachaye

Hotel mein tip dene ko tarse
Business chale hai ram bharose
Phir bhi girlfriend pe tu paise kharche
aur uske saath coffee pene ko tarse.

Jo tujhe pasand vo kise aur eke pass jaye
Tu akele dandiya khelte rehejaye
Dost log tera majak udaye.
Haas kart tu sab kuch hai jhel jaye.

Train mein kisike dhake ne tere nak hai phodi
Khene laga bhai sorry jaga do thodi
Bhete nak ke sath tu side mein hojaye.
Thank you bhai sahib bolke vo seat pe beth jaye.

Mehengai ke karan tere iccha hai adhoore
Bank loot ne baad ab hoge vo poore
Police ke dande tu khud hai khaye
Thode paise deker unko tu manaye
Haas ke tu apne izzat ki marvaye
Aur bhooke peth phir tu sojaye.

Itna adjust tu kyun hai karta
Sapne mein tho hai khul ke tu jeeta
Achanak se tera sapna hai toota
Subah uthkar kahye vo he joota

Kar apne din ke shruvat tu haas kar.
Par “Adjust kar” bhai “Adjust kar”.
Teen ke jagah char bitha ke adjust kar

Sunday, 30 October 2011

khushi

KHUSH
Haas ne se khushi jahir hoti hia.
Haas ne se gum bhi chupte hai
Phir bhi log khete hai khush hai hum.

Koi ghar se lad jhagad ke nikla hai.
Kissi ka batua chori hua hai.
Kissi ki train chhut gaye hai.
Koi apne app mein hi khoya hai.
Phir bhi log kheta hai khush hai hum.

Koi geele aankhon se has raha hai
Koi haas haas ke aankhein gele kar raha hai.
Phir bhi log kheta hai khush hai hum.
Koi pyaar ka bhooka hai.
Kissi ko bhaut pyar mil raha hai.
Kisi ko dusre ki khushi mein khushi milte hai.
Koi apne aap mein hi khush reheta hai.
Phir bhi log kheta hai khush hai hum.

Koi khushi ke bare mein sooch kar khush hota hai.
Koi khushi ko doond kar khush hota hai.
Kissi ki jeb bhari hai iseliye vo khush hai.
Kissi ka peth bhara hai iseliye vo khush hai.
Phir bhi log kheta hai khush hai hum.

Kissi ne apne majheb ka naam roshan kiya iseliye vo khush hai.
Kissi ka dushman mara iseliye vo khush hai.
Koi jung mein jeeta iseliye vo khush hai.
Koi pyaar mein mara iseliya vo khush hai.
Phir bhi log kheta hai khush hai hum.

Friday, 28 October 2011

upvaas


UPVASS
Upvass, Upvass, Upvass
Pata nahi kyun aata hai yeh upvaas
Sab josh mein aake karte hai
Phie kyun bhook se marte hai.

Aaise waqqt aata hai
Pani ko dekh ke muuh mein pani aata hai.
Aur din saal mein badal jata hai
Waqt kataye nahi kat ta hai
Aur bhooke peth neend nahi aata hai

Ghadi ka kata rooz ke anusar dheere chalta hai
Pata nahi kyun upvass ke din he aaisa hota hai
Dil karta ahia raath 12 baje uthkar dabba kar khaun
Phir kya batayun kaise apne peth ko samjata hun.

TV par cooking shows bhi aache aache aate hai
Aur upvass ke samay he unhe hum dhyan se dekhte hai
Bas abh yeh hai khena
Upvas tho hai karna

Kyunkiii……

Upvass, Upvass, Upvass
Pata nahi kyun aata hai yeh upvaas
Sab josh mein aake karte hai
Phie kyun bhook se marte hai.

bharish


Mumbai ki Barish,
Dekhati hai sab rang yeh barish.
Kabhi jhangjod ke rakhti hai,
kabhi uthna sikhati hai
Yeh hai Mumbai ki barish.
Kabhi Doston ko milati hai
Kabhi juda karti hai.
Kabhi pyaar karati hai,
Kabhi aason poochti hai
Yeh hai mumbai ki barish.
Kabhi tairna sikati hai
kabhi bachana sikati hai
Yeh hai Mumbai ki barish
Kabhi mobile ka talktime churati hai
Kabhi noton ko gila karti hai
Kabhi garam pokode khilati hai
kabhi kichad mein phasati hai.
Yeh hai Mumbai ki barish
Sabko jeena sikati hai yeh barish
- APJ