KHUSH
Haas ne se khushi jahir hoti hia.
Haas ne se gum bhi chupte hai
Koi ghar se lad jhagad ke nikla hai.
Kissi ka batua chori hua hai.
Kissi ki train chhut gaye hai.
Koi apne app mein hi khoya hai.
Phir bhi log kheta hai khush hai hum.
Koi geele aankhon se has raha hai
Koi haas haas ke aankhein gele kar raha hai.
Phir bhi log kheta hai khush hai hum.
Koi pyaar ka bhooka hai.
Kissi ko bhaut pyar mil raha hai.
Kisi ko dusre ki khushi mein khushi milte hai.
Koi apne aap mein hi khush reheta hai.
Phir bhi log kheta hai khush hai hum.
Koi khushi ke bare mein sooch kar khush hota hai.
Koi khushi ko doond kar khush hota hai.
Kissi ki jeb bhari hai iseliye vo khush hai.
Kissi ka peth bhara hai iseliye vo khush hai.
Phir bhi log kheta hai khush hai hum.
Kissi ne apne majheb ka naam roshan kiya iseliye vo khush hai.
Kissi ka dushman mara iseliye vo khush hai.
Koi jung mein jeeta iseliye vo khush hai.
Koi pyaar mein mara iseliya vo khush hai.
Phir bhi log kheta hai khush hai hum.
No comments:
Post a Comment