Monday, 7 November 2011

adjust kar


“Adjust kar ”
“Adjust kar” bhai “Adjust kar”.
Teen ke jagah char bitha ke adjust kar

Sarkar badha rahe hai bhav
Public ka bhade hai taav
Rickshaw chodke tu pedel hai jaaye
Itne paise tu kyun bachaye

Hotel mein tip dene ko tarse
Business chale hai ram bharose
Phir bhi girlfriend pe tu paise kharche
aur uske saath coffee pene ko tarse.

Jo tujhe pasand vo kise aur eke pass jaye
Tu akele dandiya khelte rehejaye
Dost log tera majak udaye.
Haas kart tu sab kuch hai jhel jaye.

Train mein kisike dhake ne tere nak hai phodi
Khene laga bhai sorry jaga do thodi
Bhete nak ke sath tu side mein hojaye.
Thank you bhai sahib bolke vo seat pe beth jaye.

Mehengai ke karan tere iccha hai adhoore
Bank loot ne baad ab hoge vo poore
Police ke dande tu khud hai khaye
Thode paise deker unko tu manaye
Haas ke tu apne izzat ki marvaye
Aur bhooke peth phir tu sojaye.

Itna adjust tu kyun hai karta
Sapne mein tho hai khul ke tu jeeta
Achanak se tera sapna hai toota
Subah uthkar kahye vo he joota

Kar apne din ke shruvat tu haas kar.
Par “Adjust kar” bhai “Adjust kar”.
Teen ke jagah char bitha ke adjust kar

No comments:

Post a Comment